RAMZAN KAREEM
Dua’s in Ramzan
Rozay ki niyyat (Roza rakhne ki Dua):-
“Navaytu an asuma ghadan lillaahi ta-ala minn saomi ramazana”. (or) “Navaytu bisaomi ghadin.”
-----------------------------------------------------------------------------------
Dua-E-Iftaar (Roza kholnay ki Dua):-
“Allaah-humma laka sumtu wa bika aamantu wa-alaika tawakkal tu wa-aala rizkhika aftartu, fatakhab-bal minni. ”
------------------------------------------------------------------------------------
Read this Dua during Sahar (Sehri) Time:-
“Ya waasi-al fazli wa yaa waasi-al maghfirati igh-firlana.”
------------------------------------------------------------------------------------
Read this Dua’ from 1st Ramzan to 10th Ramzan (daily):-
“Allaah-hummar hamna yaa arharmar raahimeen.”
(Note:- 1st to 10th Ramzan – Ramzan ke mahiney ka pehla Aashra “RAHMAT” ka hai)
------------------------------------------------------------------------------------
Read this Dua’ from 11th Ramzan to 20th Ramzan (daily):-
“Allaah-humagh firlana zunubana yaa rabbal-aalameen.”
(Note:- 11th to 20th Ramzan – Ramzan ke mahiney ka doosra Aashra “MAGHFIRAT” ka hai)
------------------------------------------------------------------------------------
Read this Dua from 21st Ramzan to Last Ramzan (daily):-
“Allaahumma khina azaaban-naari wa-adkhilnal-jannata ma-al abraari yaa azeezu yaa ghaffaru.”
(Note:- 21st to Last day of Ramzan – Ramzan ke mahiney ka teesra Aashra “Jahannam se azaadi” ka hai)
------------------------------------------------------------------------------------
Read this Dua in “Shab-E-Khadr” (for maximum no. of times):-
“Allaahumma in-naka afuvun tuhib-bul afva faah-fu anna yaa kareem.”
------------------------------------------------------------------------------------
Taravi ki Dua:-
Subhaanal-malikil-khuddus; subhaana zil-mulki wal-malakut; subhaana zil-izzati wal-azmati wal-haibati wal-khudrati wal-kibriyaa-i wal-jabaroot; subhaanal-malikil-hayyil-lazi la yanaamu wala yamutu subbuhun khuddoosun; rab-buna wa rabbul mala-i-kati war-ruhi, allaahumma ajirna min-nan-naar, yaa mujeeru, yaa mujeeru, yaa mujeeru.
RAMZAN Mubarak mein padhne ki Duaen:-
[Note:-Read DURUD-E-SHAREEF before and after reading these Dua(s)].
Sl. No. | Dua Description | Note |
1 | Ae ALLAH hamari zubaan par kalme tayyaba hamesha jaari rakh |
AAMEEN |
2 | Ae ALLAH hamein kaamil imaan naseeb farma aur puri hidayat ata farma |
AAMEEN |
3
| Ae ALLAH hamein puray ramzan ki niyamatein anwar wa barkat se malamaal farma |
AAMEEN |
4 | Ae ALLAH hum par apni rahmat naazil farma, karam ki baarish farma aur rizzakh halaal ata farma |
AAMEEN |
5 | Ae ALLAH hamein Deen-e-islam ke ehkaam par mukammal taor par amal karnewala banadey |
AAMEEN |
6 | Ae ALLAH tu hamein apna mohtaaj bana; kisi ghair ka mohtaaj na bana. |
AAMEEN |
7 | Ae ALLAH hamein Lailatul-Qadr naseeb farma |
AAMEEN |
8 | Ae ALLAH hamein Hajj makhbool wa mabroor naseeb farma. |
AAMEEN |
9 | Ae ALLAH hamein jhooth, gheebat, baghz wa keena burayee wa jhagdey fasaad se door rakh. |
AAMEEN |
10
| Ae ALLAH ham se tangdasti, khauf, ghabrahat aur kharz ke bojh ko door farma | AAMEEN |
11 | Ae ALLAH sagheera aur kabeera gunahon ko muaaf farma |
AAMEEN |
12 | Ae ALLAH hum ko dajjaal ke fitne, shaitaan aur nafs ke shar se mehfooz rakh |
AAMEEN |
13 | Ae ALLAH auraton ko parde ki puri puri pabandi karni ki taufeekh ata farma |
AAMEEN |
14 | Ae ALLAH her chhoti, badi bimari se hamein aur kul momineen wa mominaat ko mehfooz rakh |
AAMEEN |
15 | Ae ALLAH hamein takhve wa parhezgaari ata farma |
AAMEEN |
16 | Ae ALLAH hamein Huzur-e-akram Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ke pyare tarikay par qayam rakh. |
AAMEEN |
17 | Ae ALLAH hamein Huzur-e-akram Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ki sunnat par chalne ki taufeekh ata farma |
AAMEEN |
18 | Ae ALLAH hamein qayamat ke din Huzur Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ke haath se jaam-e-kausar peena naseeb farma |
AAMEEN |
19 | Ae ALLAH hamein qayamat ke din Huzur Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ki shifa-at naseeb farma |
AAMEEN |
20 | Ae ALLAH tu apni mohabbat aur hamare aakha Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ki mohabbat hamare dilon mein dal de |
AAMEEN |
21 | Ae ALLAH hamein maut ki sakhti say aur khabar ke azaab se bachaa |
AAMEEN |
22 | Ae ALLAH munkar-nakeer ke sawalaat ham par asaan farma |
AAMEEN |
23 | Ae ALLAH khayamat ke roz hamein apna deedaar naseeb farma |
AAMEEN |
24 | Ae ALLAH hamein Jannatul-Firdaus mein jagah ata farma |
AAMEEN |
25 | Ae ALLAH hamein khayamat ki garmi aur jahannam ki aag se mehfooz farma. |
AAMEEN |
26 | Ae ALLAH hamein aur tamaam momineen wa mominaat ko hasr ki rusvayi say bachaa. |
AAMEEN |
27 | Ae ALLAH Naam-e-Amaal hamare daahinay haath mein naseeb farma |
AAMEEN |
28 | Ae ALLAH apne arsh ke saye mein jagah ata farma |
AAMEEN
|
29 | Ae ALLAH pul-saraat par bijlee ki tarah guzarne ki taufeekh ata farma |
AAMEEN |
30 | Ae ALLAH hamein dono jahan mein Rasul-e-Pak Sallal-laahu-ta-ala-alaihi-wassallam ka ghulaam bana ke rakh. |
AAMEEN |
|
Aap sub ko Aanewala Maahe RAMZAAN bahot bahot Mubarak
DUA KI GUZARISH.
*****************************************************
REGARDS&THANKS
K.M.MUFAKHAM ALI ANSARI.....
*****************************************************
No comments:
Post a Comment